Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 239 - Total Replies: 0

POSTED BY: Gautam on 12/07/2007 15:28:24


dayar-e-Ghair mein kese tujhe sada detey
tuu mil bhii jata to tujhe ganvaa detey

tumhi ne hum ko sunaya na apana dukh varana
duaa vo karatey k hum aasaman hila detey

humay ye zom raha ab k vo pukarenge
unhe ye zid thi k har baar hum sada detey

vo tera Ghum tha k tasir mere lahaje ki
k jis ko haal sunatey usey rula detey

tumhe bhulana hi awal to dastaras me nahi
jo iKhtiyar bhi hota to kyaa bhula detey

tumhari yaad ne koi jawab he na diya
mere Khayal ke aanso rahe sadaa detey

samaton ko apni umar bhar kosata raha
vo kuch na kehte magar hont to hila detey
..(W.Shah)




--------------------------------------------------------------
Tera Mera Rishtaa.........
19/11/2026



*** NkuT.Com ***