| POSTED BY: Gautam on 12/07/2007 15:28:24 |
|
dayar-e-Ghair mein kese tujhe sada detey tuu mil bhii jata to tujhe ganvaa detey
tumhi ne hum ko sunaya na apana dukh varana duaa vo karatey k hum aasaman hila detey
humay ye zom raha ab k vo pukarenge unhe ye zid thi k har baar hum sada detey
vo tera Ghum tha k tasir mere lahaje ki k jis ko haal sunatey usey rula detey
tumhe bhulana hi awal to dastaras me nahi jo iKhtiyar bhi hota to kyaa bhula detey
tumhari yaad ne koi jawab he na diya mere Khayal ke aanso rahe sadaa detey
samaton ko apni umar bhar kosata raha vo kuch na kehte magar hont to hila detey..(W.Shah)
--------------------------------------------------------------
Tera Mera Rishtaa.........
|