Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

<< First  < Previous | Page:  1 | 2 | 3 | 4 |
Total Views: 2068 - Total Replies: 35




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:59:06



Ek gulab tha


Bara odas tha
Rang bhi us ka tha kuch ora ora sa
Shabnam k ansoo rawan thay us k
Dil tha us ka kuch bujha bujha sa
Bahar ka tha mosam phir bhi na khila tha
Dali say tha who apni kuch jhuka jhuka sa
Main nay ju dekha usay
Pass ja k pocha us say
Kyon ha odas to?
Kyon kerta ha dil barbad to?
Kis ko kerta ha yad to?
Yeh sun ker who ronay laga
Shabnam k ansoo say moon dhonay laga
Or rotay rotay bas yeh kehnay laga
Mera yar mugh ko chor gaya hai
Mera pyar mugh say moon mor gaya hai
Ab main kis k liyay khil jaoon
Ab main kis k liyay khushboo mahkaoon
Mujhe kon apnay dil say lagaie ga
Mujh ko kon apni sansoon may basay ga
Mera chaman ojar gaya hai
Mera yar mujh say bichar gaya hai
Bas ab to her lamhay us ki yad hai
Bas baqarari hai, tarap hai faryad hai
Mujh ko koe meray yar say mila dai
Mujh ko koe mera pyar lota dai
Woh ayey ga tu khil jaoon ga maiN
Apni zindagi say mil jaoon ga main





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:59:26




wo koi aur na they chand Khushk patte they
shajar se toot ke jo fasl-e-gul per roye they

abhi abhi tumhein socha to kuch na yaad ayaa
abhi abhi to ham aik-doosrey sey bicharey they

tumhary baad chaman par jab aik nazar Dali
kali kali main Khizaan ke chiraagh jalate they

tamaam umer wafaa key gunaahgar rahey
ye aur baat key ham aadami to achchey they

shab-e-Khamosh ko tanhai ney zaban dey di
pahar gunjtey they dasht san sanatey they

wo aik baar marey jin ko thaa hayaat sey piyaar
jo zindagi sey guraizaan they roz maratey they

naye Khayaal ab aatey hain dhal ke zahan main
hamarey dil main kabhi khait lah_lahate they

ye iratiqa kaa chalan hai ki har zamane main
puraaney log naye aadami sey daratey they

"rehan" jo bhii mulaqat thi adhoori thi
kai aik cheharey key peecheye hazaar cheharey they





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:59:51




Zindagi Main Hai Dhoka Is Ke Siwa Kuch Nahi
Tamashaei Hai Yeh Duniya Is Ke Siwa Kuch Nahi
Meri Zindagi Se Pochiye Zindagi Kya Hai
Zindagi Hai ek Khuwaab Is Ke Siva Kuch Nahi
Khushiyan Hain Lakhon Is Duniya Main Magar
Udasi Hai Mere Dil Main Is Ke Siva Kuch Nahi
Mujh Se Jo Log Bhi Mile Hain Khush Hokar
In k Dilon Main Hai Nafrat Ke Siva Kuch Nahi
Wade,Karte Hai Log Magar Jante Nahi Wafa Karna
Bewafai Hey Is Duniya Main Is Ke Siva Kuch Nahi
Pal Main Jisse Chaha Usse Pal Main Bhula Diya
Yeh Khel Hey Duniya Ka Is Ke Siva Kuch Nahi
Tum Ko Chaha Hey Magar Kuch Bhi Nahi Socha Ke
Duniya To Hai Ek Sarab Is Ke Siva Kuch Nahi





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 19:00:21




Socha nahi acha bura
Dekha suna kuch bhi nahi
Manga khuda say har waqt
Teray siwa Kuch bhi nahi !

Dekha tujhey chaha tujhey
Socha tujhey pooja tujhey
Meri wafa meri khata
Tere khata kuch bhi nahi !

Jis par hamari aankh nay
Moti bichayey raat bhar
Bhaija wahi kaghaz usay
Ham nay likha Kuch bhi nahi !

Aur aik sham ki dehleez par
Baithay rahay woh dair tak
Aankhon say ki batain buhat
Munh say kaha kuch bhi nahi !

Do chaar din ki baat hay
Dil khak main mil jaye ga
Aag per jab kaghaz rakha
Baqii bacha Kuch bhi nahi... !!!





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 19:00:44




Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Men Jaga Di Thi
Khawabon Ki Duniya Apni Us Sey Hi Saja Di Thi


Chaha Tha Us Ko Hum Ne Khud Se Bhi Bahut Barh Kar
Us Chahat Mein Hum Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi


Maloom Nahi Tha Hum Ko Wo Bewafa Bhi Hoga
Us Per Bharosa Karky Khud KO Hi Saza Di Thi


Socha Tha Sath Mill Kay Katein Gey Zindagi Ko
Us Ne To eik Pal Main Har Bat Bhula Di Thi

Kaisa Sitam Hey Dekho Wo Kab Sey Juda Ha Mujh Sey
Apni Zindagi Jis Ka Saya Sa Bana Di Thi


Kia Tha Us Per Bharosa Kiun Had Sey Bhadh Kar
Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi...!!!





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 19:01:09




" Teri Masoom See Hansi "
Shaam key dhaltay andhairoon main
Thakki thakki see fiza key lamhoon main
Holay holay ubhartay chaand key gird
Chamakti chandni ban kar
Aksar..
Tera chehra nigahoon key roobaroo aata hai
Aur phir aisay main bohat paas kahin
Teri masoom see hansi sunai daiti hai
Kanoon main gounj uthti hai
Jal tarang jaisay
Khill uthta hai
Har manzar jaisay
Mehak uthti hai thakki see fiza
Holay holay chalnay lagti hai
Tandd-o-taiz hawa
Jab teri khushbu lay aata hai koi bhatakta jhounka
Uffak key paar chamakta hua chand
Kisi key khayal say sharma key simmat jata hai
Kisi awara badal ki aarh main chup jata hai
Main aankhain mounday huay
Door khayaloon main kahin kho jata hoon
Apni zaat say hatt kar main tum ho jata hoon
Magar aisay main anjanay kahin say
Tanhai apni bharpoor shakti lay kar
Shaam key phailtay andhairoon main
Ghatta see ban kar chah jati hai
Aur phir uss per teri yaad sittam dhaati hai
Har guzartay pal mujhay tarpati hai
Shadeed qurb key alam main
Main bahain kholay huay
Main apni khamoosh zubaan say tujhay sadda daita hoon
Soochta hoon key tum doori chali aao gi
Zindagi bhar ko meri bahoon main simmat jao gi
Phir haqeeqat ahsaas ki dehleez per dastak dai kar
Mujh per aik sach ayyan karti hai
Key Aey Dewanay
Tu dasht-e-zeest main ab bhi tanha hai
Apnay barhtay qadam rook lay tu acha hai
Tu khud ko abhi touk lay tu acha hai
Warna...
Tu dasht-e-zeest main kahin kho jaye ga
Khaak ban jaye ga
Hawaoon main bikhar jaye ga
Magar kia karoon key meri aik uljhan hai
Main apni zaat ka hakim hi nahin
Meray wajood per TU qabiz hai
Ab meri rooh main TU shamil hai
Yeh mera dil TERAY naam per dharakta hai
Daikhta hoon tu sirf TUM hi TUM ho
Soochta hoon tu sirf TUM hi TUM ho
Khud ko kho chuka hoon
Magar dilbar meray
Main ab tujh ko khona nahin seh paaon ga
Tum bin jeenay ka tassawur hi nahin
Tum say bichra tu shayad
Younhi mar jaon ga...!!!





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 19:01:53




Tumhain zid hai k main keh doo'n,
mujhe zid hai k tum keh do..
mujhe tumse muhabbat hai,
kaho, mujh se muhabbat hai!!!
Nahi ye jaantey dono'n,
muhabbat kab bhala muhtaaj hai lafzon ki, baaton ki,
muhabbat to hamaari dharkano'n k saaz main shaamil,
sureeley geet ki maanind!!
Muhabbat yaad ki devii,
jo tanha raat ko aksar utar aati hai aankho'n main...
Muhabbat muskuraahat hai, hasee'n naazuk se honto'n main!
Muhabbat sandali haatho'n ki naazuk larzishon main hai!
Muhabbat soch ki gehraaio'n se phoot'ti khushboo,
hamesha saath rehti hai!
Muhabbat aankh main palta wo purisraar jazba hai,
jisey ab tak nahi koi samajh paaya,
na iski koi soorat hai,
na iska koi pemaana!
Dhakey alfaaz main iska bohat izhaar hota hai,
kuch esey hi k jese ab.....
teh-e-dil se to hum dono'n,
bohat iqraar kertey hain,
magar phir bhi na jaaney Q?
Tumhain zid hai k main keh doon,
mujhey zid hai k tum keh do...
Mujhe tum se muhabbat hai!!!
Kaho, mujh se muhabbat hai!!!





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 19:02:17




Tum ney samja he nahi mari chahat ko kabi
Tum ney chaha he nahi mari muhabat ko kabi

Sochta hoon mian jaan leeta tumhey
Main ney perkha nahi tari fittrat ko kabi

Mana ik umar kati yadoon main chaltey hoey
Wo marasam na rahey rahoon pe chaltey hoey

Ab hey tanhaian aor perchaian baki
Ho gey ham sey juda wo hamsafar marey sathi

Sochta hoon ke main jaan leeta tumhey
Main ney jana hee nahi tari hasrat ko kabi


Ye safar piyar ka tanha kat"ta hee nahi
Koi bee per hoo dil machalta hee nahi

Tum ko maloom hey tum dulruba hamarey they
Piyar ke rahoon main tum hamsafar hamarey they

Sochta hoon ke main jaan leeta tumhain
Main ney socha hee nahi tari ulfat ko kabi





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top
19/11/2026
<< First  < Previous | Page:  1 | 2 | 3 | 4 |



*** NkuT.Com ***