Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   


BLOGS   WRITE NEW BLOG   EDIT BLOGS  
 
RSS
Zulfiqar
Posted On 08/12/2007 10:11:24 by saim110

Shah e Merdan
Sher e Yazdan
Quwat e Parwerdigar
La fatah illa ALI a.s La saif
illa Zulfiqar


Jo aik bar banaaa
Jo aik bar banaaa Hai wo shahakar hu mai
Zamana Jan le Haider ki Zulfiqaar hun mai
Zamana Jan le Haider ki Zulfiqaar hun mai

Mai ajj apna taaruf Tumhain karati hun
Hijab apni hi khilqat se mai uhtati hun
Hasab nasab hai mera kia abhi batati hun
Mai misl e Mesam o Salaman Ali ki sathi hun
Khuda ne noor ki atish mai muj ko dhala hai
Falak pe kitne baras kibriya ne pala hai


Zamana Jan le Haider ki Zulfeqaar hun mai
Zamana Jan le Haider ki Zulfeqaar hun mai

Ohud k run mai meri Rasm e Ronumai hoi
Zameen per phelay hi din kufer se larai hoi
Ali k Quwate Basoo se Ashnai hoi
Shikast ronay lagai aisi jung hasai hoi
Khuda ne ghaib se lashker kushai di hai mujhe
Hazoor e Paak ne khud mo dikhai di hai mujhe


Zamana Jan le Haider ki Zulfeqaar hun mai
Zamana Jan le Haider ki Zulfeqaar hun mai

Her aik jari meri johur ka madha khuwan raha
Meri Aman se jo nikla wo be aman raha
Basher raha na koi na jism per nishaan raha
Hamesha jung mai muj ko ye itmenaan raha
Abuturaap ne muj pe ye etebaar kia
Palat ker lash na dekhi jo mai ne war kia



Zamana Jan le Haider ki Zulfeqaar hun mai
Zamana Jan le Haider ki Zulfeqaar hun mai


Munafiqo ko naey mujzay mai dikhati hun
Ali Ali ka jahan ko sabaq sikhati hun
Qaza ko apne isharo pe mai nachati hun
Sero ko ser se hawaao mai mai urhati hun
Ali k hath pe sajda meri ibatad hai
Khuda k hath mai rehne ki muj ko adat hai


Zamana Jan le Haider ki Zulfeqaar hun mai
Zamana Jan le Haider ki Zulfeqaar hun mai


Fidak k roz ye mai ne kaha tha Maula se
Mere Imam wida ki mujhe reza de dain
Howe hain log jo mujrim janab e Zehra k
Her aik askh ki qimat abhi chukain gay
Kisi ko muj se muyeser rahy Farar nahi
Jiger na kat k rakh do tu Zulfeqar nahi


Zamana Jan le Haider ki Zulfeqaar hun mai
Zamana Jan le Haider ki Zulfeqaar hun mai


Mai kitni sadyun se Akber usi diyar mai hun
Ali k Sher k humrah mai khichar mai hun
Mai meer e Ghaibat e kubra k ikhtiyaar mai hun
Mai apne izen e taqulum k intezaar mai hun
Kisi zuban se jahan Alajal Nikalta hai
Niyam e Saber mai mera badan Majalta hai


Zamana Jan le Haider ki Zulfeqaar hun mai
Zamana Jan le Haider ki Zulfeqaar hun mai

 



Bookmark:






*** NkuT.Com ***