Kya saza teri kya kasoor humara
Jannat jahan ko tune dojak ki aag se jalaya
Kaash teri aankhon ke vaade meri palko tak na baaste
Teri yaadon ki baarish sawaan ki tarah na barasti
Kaash khayalon ke dariya ko tum saahil na banate
Dil churake na dil todte to ye bebasi na hoti
Pyaar ke khel me teri jeet aur meri haar na hoti
TURN OFF'S
Naaz uski wafa per mujhe tha magar
Teer woh bhi jigar per chala kar gaye..!!
**______________**
Doondta tha kabhi jo mujhe her gali
Aankh wo aaj mujhse bacha kar gaye..!!
**______________**
Mangta tha sahara jo herdam mujhe
Besahara mujhe wo bana kar gaye..!!
**______________**
Neend aagosh main jiski aane lagi
Maut ki neend mujh ko sula kar gaye..!!
**______________**
Aarzoo thi "Yaara" kisii ki mujhe,
Kwaab mere wahi to mita kar gaye...!!!
**______________**