Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi MiliJaisi Chahte the Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili...Milne Ko Zindagi Mein Kai Hamsafar MilePar Un Ki Tabiat Se Tabiat Nahi Mili...Chehron Mein Doosron Ke Tumhein Dhondhte RaheSoorat Nahi Milli Kahin Seerat Nahi Mili...Bahut Der Se Aaya Tu Mere Paas Kiya KahoonAlfaaz Dhondne Ki Bhi Mohlat Nahi Mili...Tujh Ko Gila Raha Ke Tawajah Na Di TujheLekin Hamein Khud Apni Mohabbat Nahi Mili...Har Shakhs Zindagi Mein Bahut Der Se Mila Koi Bhi Cheez Waqat-e-Zaroorat Nahi Mili