Jab jawaani ka mazaa jata raha Zindagaani ka mazaa jata raha Woh kasam khaate hai.n ab har baat par Badgumani ka mazaa jata raha Gair par lutf-o-karam hone laga Meherbaani ka mazaa jata raha Daastaan-e-ishq jab thahri galat Har kahaani ka mazaa jata raha Daag hi ke dam se tha lutf-e-sukhan Khushbayaani ka mazaa jata raha!!!!!!!
Tags: Daag Dalvi