Tere baare mein jab socha nahin thaa, main tanha thaa magar itna nahin thaa Teri tasveer se karta thaa baatein, mere kamre mein aayina nahin thaa. Samandar ne mujhe pyaasa hi rakha, main jab sahera mein thaa pyaasa nahin thaa. Manaane ruthne ke khel mein hum, bichhad jaayenge ye socha nahin thaa. Suna hai band kar li aankhein usne, kai raaton se wo soya nahin thaa
Tags: Album SaherLyrics MerazMusic Jagjit Singh