|
|
EK CHERA SATH SATH RAHAA
Posted On: 25/11/2007 17:15:47
|
Ek chehraa sath sath rahaa jo milaa nahii kisko talaash karta raha kuch pataa nahii
shiddat ki dhoop taiz havaon k ba-vajood mai shakh se gira hoo, nazar se gira nahii
aakhir Ghazal ka taj-mahal bhi hai mak-bara ham zindagi the hamko kisi ne jiyaa nahii
jiski mukha-lifat hui mash-hoor ho gaya in pattharo se koi parinda giraa nahii
tarikiyo me aur chamakti hai dil ki dhoop suraj tamam raat yahaa Doobta nahii
kisne jalaye bastiyaa bazaar kyo luTay mai chaNd par gaya tha mujhe kuch pata nahii
|