Welcome Guest Login or Signup

rahul_ravi
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


RSS
Muddat say jiss kay waaste
Posted On: 21/02/2008 22:13:45
Muddat say jiss kay waaste Dil bay qaraar tha


Woh laut kar na aaya magar intezaar tha




Jo humsafar tha chorr gaya raah may mujhe


May phans gayee bhanwar main woh darya ke paar tha




Manzil qareeb aayi to tum door hogaye


Itna to tum batao kay yeh kaisa Pyaar tha




Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan


Na woh sakoon se betha, na mujh ko qaraar tha




Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka


Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha




Yeh baat umer bhar samjh na paayi may


Kyun Dil mera us ka talabgaar tha


Bookmark: