mat karo koi wada jise tum nibha na sako,
mat chaho use jise tum pa na sako,
pyar kahan kisi ka poora hota hai,
iska to pehla shabd hi adhoora hota hai
...............ISKA JAWAB...............
mana ki pyaar ka pehla akshar adhura hai,
lekin 'p' ko nikal do to yaar rah jata hai
aur aap jaisa yaar ho
to zindagi se bhi pyar ho jata hai
SO…. REMEMBER ALWAYS………..
Yun to pyar karne waale tumhein kam na milengey,
Mil jaengey hum jaise bohot ,,, per hum na milengey.
...............NOW ENJOY...............
unhe bhoolne ki koshish ki maine,
dil ne kaha yaad karte rehna...
wo hamare dard ki fariyad sune na sune,
apna to farz hai unhe pyar karte rehna..
++++++++++++++++++++
nakaam si koshish kiya karte hain,
hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte .......