ankhen teri itni haseen
ke inka ashiq main ban gaya hu
mujhko basa le inmein tu..
mujhe se ye har ghadi mera dil kahe
tum hi hoo uski arjoo ..
mujhe se har ghadi mere lab kahein
teri hi hoo sab guftgu...
baten teri itni haseen
main yadd inko jab kerta hoo
foolon se aye khusahboo..
rakh lu chupa ke main kahi tujh ko
saya bhi tera na main du...
rakhlu bana ke kahi gher main tujhe
sath tere main hi rahoo....
julfen teri itni ghani
dekhke inko ye sochta hoo
saye main inke main jiyoo ....
jags....