|
Jaana hoga.......
Posted On: 24/12/2007 11:41:59
|
Ab aansuon ko aankhon mein sajaana hoga chiraagh bhuj gaye khud ko jalaana hoga
Na samajhna ke tumse bichhar ke khush hain humein logon ki khaatir muskuraana hoga
Phir shaam dhal gaye tum aaye na aaj bhi dil ko aaj phir umeedon se behlaana hoga
Waada khilaafi karke muskuraate ho aap dekhna ek din sanam aapko pashtaana hoga
Lahoo se apne kafan pe tera naam likh jaoungi thaam ke haath mein phool tumko aana hoga
Muddaton kiya hai tera intezaar ae sanam umar kat chukhi ab toh jaana hoga
|