|
|
kuch to samjho na ........
Posted On: 21/11/2007 09:15:14
|
kuch to samjho na ........ Door reh kar bhi tujh se mohabbat karna mujhe acha laga tu bata ,aakhir tujhe yeh waaqiaa kaisa laga?
Itne faslay mein bhi hain teri qurbat ke mazay tujh se milna,tujh ko chahna mujhe acha laga
Silsalay teri yaadun ke phailay hain har taraf teri chah,teri raah mein bhatakna mujhe acha laga
Raakh urrne lagi hai mann mein jalti bujhti yaadun ki shaam dhalay teri yaad ke deep jalana mujhe acha laga
Kaise kahun tere bin dasti hai mujh ko tanhaii teri ulfat,teri furqat mein ratt-jaga karna mujhe acha laga
Woh aanch thi hawa mein ke kali tak bhi sulagg gaii aise mein tera ghatta ban ke barasna mujhe acha laga
Faaslay mitt na paaein ge inn dooriun ke kabhi tasawar mein tera aa ke dil ko behlana mujhe acha laga
|