|
|
Barson k baad Dekah ek Shakhs Dil-Ruba sa,
Posted On: 21/11/2007 09:04:09
|
Barson k baad Dekah ek Shakhs Dil-Ruba sa, Ab Zehn mai nahi hai per Naam tha Bhala sa
Ubroo khinche khinche se, Aankhein Jhuki Jhuki si, Baatein ruki ruki si, Lehja thaka thaka sa
Alfaaz they k, Jugnoo Awaaz k safar mai, Ban jaye Jangalon mai jis tarah Rasta sa
Khuwabon mia Khuwab us k, Yaadon mai Yaad uski, Neendon mai ghull gaya ho, jese k Rat-jaga sa
Pehley b Log aaye kitne hi Zindagi mai, Wo her tarah se lekin Auron se tha Juda sa
Agli Mohabbaton ne wo Na-Muraadiyan di, Taza Rafaqaton se Dil tha Dara Dara sa
Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa
Kuchh Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye Kuchh Zeher Men Bujha Tha Ahabaab Ka Dilasa
Phir Yun Hua Ki Sawan Akhon Men Aa Base The Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aablaa Sa
Ab Sach Kahen To Yaron Hum Ko Khabar Nahi Thi Ban Jayega Qayamat Ek Waqeya Zara Sa
|