Meri Tanhai meri tanhai ko ab eik mehmaan chaahiye
mujhko saaya nahin eik insaan chaahiye
baaton mein khulte hein aksar puraane zakham
koi kam-sukhan koi bey-zubaan chhaahiye
andhere hein zindagi mein door talak bahot
mujhko ujaalon ka kaarwaan chaahiye
mujhko na raas aayega tera zareen qafas
hum parindon ko khulaa aasmaan chaahiYE