Welcome Guest Login or Signup

aneela
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


RSS
Poetry
Posted On: 17/11/2007 16:04:25


Suno Hum tum se kuch kehna chahte hain,
Is tees ko is dard ko hum sehna chahte hain.

Jis ko kabhi sheesha kabhi aaina kehte ho tum
Seene ke us muqaam mein hum rehna chahte hain.

Maujon ka daar nahi hai ,sahil se nahi hai pyaar,
Bas tham lo hume tum hum behna chahte hain.


Aankhon ne baat karli, nazroon ne bhedh khola,
Ab hont kaampte hain kuch kehna chahte hain

Kya yaad karoge hum ko jab paas hum na honge,
Tere khuwab mein khayal mein hum rehna chahte hain.

Khayal mein tere aks se yeh sab to keh chuke hain,
Tere saamne gar ho ijaazat kehna chahte hain.

~!*~!*~!*Remember Me In Your Prayers~!*~! *~!*

 

bhulana chahta hai........

bhulana chahta hai........

Woh mujh ko chorr jaana chahta hai
Magar koi bahana chahta hai

Jisse Dil ki tarhan is Dil main rakha
Woh hi ab Dil dukhana chahta hai

Woh apni hansi gharion ko deker
Khud apna gham bhulana chahta hai

Main jis ki yaad main duniya ko bhooli
Woh hi mujh ko bhulana chahta hai

Us se kya ho dard ka ehsaas
Jo mera Dil dukhana chahta hai

 


MeRi ZinDaGi Le GaYe

 

Na JaNe KauNSa JhoNka Tha Jo TuMheiN ItNa BehKa GaYa

Yeh KaiSi MuHaBaaT Thi

Ke BaS TiNka BhaR AiTeBaaR Reh GaYa

ShaK Ke DaiYRe MaiN Jo PhooL KhiLte HaiN

Un Se MeHaK Nahi BaS KaNte ChuBte HaiN

TuM JaNe Se PehLe MuD Ke Tu DeKh LeTe AiK BaaR

MuJhe ApNi MuHaBaat MaiN MaRta ChoD GaYe

MeRe QaTiL Ko DeKh LeTe AiK BaaR

TuM BeWaFa KitNi AsaNi Se Keh GaYe

ZinDaGi Keh KaR MuJhe

MeRi ZinDaGi Le GaYe

 

un kahi baatein

 

un kahi batein.............

Mujhe Har Kaam Se Pehle
Sehar Se Shaam Se Pehle
Yahi Aik Kaam Karna Hai
Tumara Naam Lena Hai,
Tumhe Ko Yaad Karna Hai

Ke Jab Bhe Dard Pena Hai
Ke Jab Bhe Zakham Sehna Hai
Gham -e-Duniya Se ghabra Kar
Mujhe Jab Jaam Lena Hai

Tumara Naam Lena Hai
Tum He Ko Yaad Karna Hai
Tumari Yaad Hai Dil Mein,
Aik Sayaad Hai Dil Mein
Khoi Barbad Hai Dil Mein,
issay Abad Karna Hai
Tumara Naam Lena Hai
Tumai Ko Yaad Karna Hai....

 

GHUM KI BAARISH

Ghum Ki Barish
Ghum Ki Barish Ne Bhee Teray Naqsh Ko Dhoya Nahin

Ghum Ki Barish Ne Bhee Teray Naqsh Ko Dhoya Nahin
Tu Nay Mujh Ko Khoo Diya, Mainay Tujhay Khoya Nahin

Neend Ka Halka Gulabi Saa Khumaar Ankhon Main Tha
Yuun Laga Jaisay Woh Shab Ko Deir Tak Sooya Nahin

Har Taraf Dewar O Dar Or Inn Main Aankhon Ke Hajoom
Keh Sakay Jo Dil Ki Halat Woh Lab-e Goyaa Nahin

Jurm Adam Ney Kiya Or Nasl-e-Adam Ko Sazaa
Kaatt Ta Hoon Zindagi Bhar Jo Mainay Boyaa Nahin

Jaanta Hoon Ik Aisay Shakhs Ko Main Bhee
Ghum Se Pathar Ho Gaya Lekin Kabhi Rooya Nahin....



Bookmark: