Welcome Guest Login or Signup

Hurricane_Hasan
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


RSS
Main roya to nahi hoon
Posted On: 18/03/2008 20:20:20

Na janay kion mera kajal
Jab bhi dalo ankhoon main
Ab aksar phail jata hai
Main roya to nahi hoon

 

 

Tum tou jaanti hi ho in dinoon
Buhat hi thand hoti hai
Tab hi hai surkh meri naak
Main roya to nahi hoon

Kaha tou hai keh yunhi bas
Bheega hai daman ka kona
Choro tum fikar mat karo
Main roya to nahi hoon

 

 

Nahi udass kab hoon main
Ziyada kaam hai bas
Tahakawat tou ho hi jaati hai
Main roya to nahi hoon

 

Bahaar aii hai , woh ab bhi
Nahi aati tou na aye
Ab uski yaad main dekho
Main roya to nahi hoon

 

Bata daynaa usko jaa kar
Koi khush fehmi na palay
Waisey hi surkh hain akhain
Main roya to nahi hoon



Bookmark: