Ab mujhko bhoolne ke bahane talash kar,
Mousam naya hai, taza thakane talash kar,
Aankhon ki doobti hui kafiyatain na dekh,
In murda aansoon mein zamane talash kar,
Mahlo ke baasiyo ne to thukra diya tujhe,
Galiyon mein apne dost purane talash kar,
Ya roshni ki burf se chehre ko dhaanp le,
Ya zulimaton mein khawaab suhane talash kar..!!