ETIBAR
Har kisi pe etibar na karna
uon khud ko be qarar na karna
zindagi bhar tumhe rulae ga
kisi ka intizar na karna
agar rona tow khusk aankhon se
dukhoon ko ishtihar na karna
khushi ka ek pal bhi kafi hai
hazar ghum hoon, shumar na karna
mujhe khud pe garoor aajae
iss kadar mujh se pyar na karna
taabir har kisi ko nahi milti
khuwaboon pe etibar na karna