Barsat m hum pani ban kr baras jay gay Patjhar m hum phol bun k jhar jay gay Kya howa jo aj apko tang karte hain Ek din apko bin btaye hi guzar jay gay
Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa, Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga, Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost, Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga
Teri baatein hi sunaane aaye,
Dost bhi dil hi dukhaane aaye,
Phool khilte hain to hum sochte hain,
Tere aane ke zamaane aaye,
Aisi kuchh chup si lagi hai jaise,
Hum tujhe haal sunaane aaye,
Ishq tanhaa hai sar-e-manzil-e-Gam,
Kaun yeh bojh uthaane aaye,
Ajnabi dost hamein dekh ke hum,
Kuchh tujhe yaad dilaane aaye,
Dil Dhadakataa hai safar ke hangaam,
Kaash phir koi bulaane aaye,
Ab to rone se bhi dil dukhtaa hai,
Shaayad ab hosh Thikaane aaye,
Kyaa kahin phir koi basti ujadi,
Log kyoun jashn manaane aaye,
So raha maut ke pahalu mein ,
Neend kis waqt na jaane aaye.
Koi kabhi un chehron ko parhay
Jo afsaanon ki tarha hotay hain
Woh ankhein jin mein shokhion ki jagha
Gehray gehray samandar hotay hain
Woh hont jin hon nay hansi ki bajaye
Chup ki chaadurain orhi hoti hain
Woh dil jin mein hazar khuahishain nahi
Tootay huway armaan chupay hotay hain
Har kadam pe imtihaan leti hai Zindagi Her waqt naye sadme deti hai Zindagi Hum Zindagi se shikwa kaise kare? Aap Jaise Pyaare Dost Bi tho deti hai Zindagi