wo nahi meri magar usse mohabbat hai to hai..
ye agar rasmo rivazo se bagawat hai to hai..
sach ko mene sach kaha,
jab keh diya to keh diya.
ab zamane ki nazar me ye himakat hai to hai..
dost bankar dushmano sa wo satati hai mujhe,
"FIR BHI US ZALIM PE MARNA APNI FITRAT HAI TO HAI"
kab kaha mene ki wo mil jaaye mujhko,
uski baahon me dum nikle itni hasrat hai to hai..
wo saath hai to zinda hu,
meri saanso ko uski zarurat hai to hai..