Is waqt youn lagtaa hai keh ab kuch bhi nahin hai
na mehtaab, na suuraj, na andheraa, na saveraa
aankhon kay dareechay main kisii husn ki jhalkan
aur dil ki panaahon main kisi dard ka dariaa
mumkin hai koii vaham ho mumkin hai sunaa ho
galiyon main kisi chhaap ka ik aakhrii phairaa
shaakhon main khayaalon kay ghanay pairr kii shayed
ab aa kay karay ga na koii khwaab baseraa
ik bair na ik mehar na ik rabt an rishtaa
teraa koii apnaa na parayaa koii meraa
maanaa keh yeh sunsaan gharrii sakht barri hai
lekin meray dil yeh tou faqat aik gharii hai
himmat karo jiinay ko abhi umar parrii hai