Zara thehro....!, Chalay jana....!,
Mujhe kuch tum se kehna hai,
Bohat waqt nahi laina,
Mukhtasir se baat karni hai,
Na dukh apny suna-ny hain,
Na koi fariyad karni hai,
Na yeh maloom karna hai k halaat kaisay hain,
Tumhare humsafar tumhare sath kaisay hain,
Na yeh maloom karna hai k din raat kaisay hain,
Mujhe bas itna hi kehna hai,
Mujhe tum yaad Aaty ho....
Bohat hee yaad Aate ho..!!