Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 336 - Total Replies: 0

POSTED BY: sahirchaudry on 02/06/2008 08:38:09


aaj kay is materialistic period main insaan ik dosray say kitna door hota chala ja raha hai.mohabtain na paid si ho kar reh gai hain.humari society main amuman mohabbat ka matlab mukhalif jins hi say mohabbat karnay ko samjh jata hai.jabkeh haqeeqat iskay baraks hai.mohabbat agar ma baap say ho jaey tou shafqat hai agar behan bhai say ho jaey tou rehmat hai.agar biwwi say hojaey tou chahat o ulfat hai agar dosto say ho jaey tou dosti agar ustaad say ho jaey tou ahtram o aqeedat ban jati haiagar rishtadaro say ho jaey tou rishton ko mazbut kar deti hai.is mohabbat kay liey tou kai roop hain kai rang hain kai mousam hain.ungint roshinia hain.lakin ismain samjhnay ka sochnay ka daira ik dosray say mukhtalif hota hai.is dor main tou aisi mohabbatain daikhnay main aai hain jo munafiqat hoti hain.koi kisi say mehaz isliey mohabbat ka dhong rachata hai keh osmain oska koi mufaad hota hai.ye mohabbat nahi tijarat hai dhoka hai dikhawa hai.mohabbat key baray main har dor main likha gaya hai or likha jata rahay ga.mohaabat ik jazba hai jo dil ki paidawar haiandar say nikalta hai.ye tou ho jati hai.ye rog tou sada ka rog hai jo insan ko jala kar bhassam kar deta haior khila kar phuool say bhi naram kar deta hai.lakin mohabbatao ko azmaiey mat.hosakta hai keh wo konsi majburion ka kaidi hojo azmaish par pura na utray or mohabbat nafrat main badal jaey.wo mohabbat nahi hai jo nafrat ka roop dhar lay.mohabbat ko samjhiey sochiey.





--------------------------------------------------------------
SALAM YA HUSAIN(A.S)
14/10/2026



*** NkuT.Com ***