|
agar keh do! yeh bujhtii shamaiN aur yeh deep phir sey jagmagayaiN ghay andheyroN k yeh saaye roshni mein gum ho jayaiN ghay agar keh do! yeh kaliyan,yeh baharaiN muskuraiN ghii tumharay pyar ki khushboo hawaaoN mein basayaiN ghii mohabbat mein hamain sawan k jhoolay pay jhulayaiN ghi aur phir inn baadloN k sang hamain uss paar jana hai jahan tum aur tumhari chahtoN ka ik hazana hai mujhe maloom hai tum ko jahan par lout jana hai agar keh do! to saari umar mein rastay sajaoN ghi tumhari yaad k aansoo aankhoN mein basaoN ghi agar keh do! k tum ko faasiloN sey lout aana hai to phir hum ko bhi itnay door kis dyar jana hai tumharay lout aanay tak diya hum ko jalana hai agar keh do! tumhain mujh sey mohabbat hai to palkoN k kinaroN par haseeN kuch khawab tik jayaiN hamari roti aankhoN par yeh saaray askh ruk jayaiN ghatayaiN ranj o ghum ki dil k aangan sey sirak jayaiN agar keh do! tumhain mujh sey mohabbat hai
|