ibn-e-majah mei hazrat ibn-e-Umar say ravayat kardah aik hadees mei aata hai kay Rasul Allah (s.a.w.) nay farmayah kisi banday nay Allah ki tareef kartay hovay kaha
"Ya Rabbi Lakal Hamdu kama Yambagee Li jalaali Wajheka Wa azeemi Sult'anik"
"Aye Allah teray liye aisi hamd(tareef) hai jo teray chehray ki bozurgee aur teri Saltanat(Empire) ki Azmaat kay laiq ho"
Faristay is mamalay mei mutahyar hovay aur faisala na kar sakay ke is ko kis tarah say likhain chonachay woh Allah ki bargah mei hazir hovay aur araz ki
"ya khudayah ! teray banday nay aik aisi baat kahee hai ke humari samj mei nhi aata ke usse kis tarah se likhain
" yeh jantay hove bhi ke banday ne kya kaha tha,Allah nay faritu se sawaal kya "tu meray banday nay kya kaha?"
faristu ne araz ki, us ne kaha,""Aye Allah teray liye aisi hamd(tareef) hai jo teray chehray ki bozurgee aur teri Saltanat(Empire) ki Azmaat kay laiq ho"
"tu Allah nay unay hukam diya ke "issi tarah likho ke jis tarah meray banday nay kaha. Qayamaat ke din woh muj se millay ga aur mei khud ussay is ki jazah du ga"