|
kashish wrote:
maine hi pyaar ke rang birange phool khila kar is duniya ko jannat banaya. maine hi apni kokh se mard ko janum diya. maa ban kar use paaon pe chalna sikhaya ,toh bahen ban kar uske balaapan ko chulbuli kahaniyan deein. mehbooba bankar uski zindagi ko reshmi naghmon mein dhala ,toh shareek_e hayat ban kar uske raat aur din sajaye. maine hi waqt padne per kandhe se kandha aur qadam se qadam mila kar kateeli rahon per dost ban kar uska saath diya. aur yeh sab karte huye apna wajood kho kar main AURAT noor ki woh boond mard mein poori ki poori sama gayi
|
Apne wajood ko khokar wo mard ki Prerna(inspiration) ban gayi apne wajood ko khokar usne is dunia ke wajood ko naye aayaam diye..
Mard ne baag banaye to usme thi is duniya ko aurat ke liye sajane ki khwahish..
Mard ne gahne banaye to wo tha aurat ki khoobsurati ko salaam...
Mard ne mahal banaye to uske piche thi aurat ki hifajat karne ki kamna..
kahi padha tha....agar Aurat na hoti to mard apne kandhe par danda lekar nang dhadang bhataktaa rahta
Is duniya ki ibarat likhne me aurat kadam ba kadam Mard ki prerna bankar uske sath thi..
--------------------------------------------------------------
B practical to save ur own identity....
