Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 916 - Total Replies: 3

POSTED BY: kashish on 08/03/2008 05:48:27


Hum tere shaher mein aaye hain musaafir ki tarha
Sirf ek baar mulaaqat ka mauqa de de


 
Meri manzil hai kahan mera thikana hai kahan
Subha tak tujhse bichar ke mujhe jana hai kahan
Ssochne ke liye ek raat ka mauqa de de
 
Apni aankhon mein chupa rakhe hain jugnu maine
Apni palkon pe saja rakhe hain aansoon maine
Meri aankhon ko bhi barsaat ka mauqa de de
 
Aaj ki raat mera dard_de mohabbat sun le
Kanpkanpate huye honton ki shaikayet sun le
Aaj izhaare khayalaat  ka mauqa de de
 
Bhoolna tha toh yeh iqraar kiya hi kyun tha
Bewafa tuune mujhe pyaar kiya hi kyun tha
Sirf do chaar sawalaat ka mauqa de de 
 
Hum tere shaher mein aaye hain musafir ki tarha
Sirf ek baar mulaaqat ka mauqa de de

 





--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~




POSTED BY: engr_ar on 08/03/2008 08:10:18


Thanks for such a beautiful poetry
Back To Top




POSTED BY: kash_ka_sujal on 10/03/2008 14:54:05


arrey tum aayi thi tu mili kyu nayi kashhhh


subhan allah

Back To Top




POSTED BY: kashish on 11/03/2008 05:33:46


zarooor ab tum apni jaan ki khair manao




--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
Back To Top
18/05/2026



*** NkuT.Com ***