Humko hua hai pyaar kissi se toh kya karen
Kar paaye naa izhaar ussee toh kya karen
Dekhaa hai jabse unko nahi bas mein meraa dil
Dil ko na aaye chainn kaheen bhi toh kyaa karein
Karte hain hum toh pyaar dil-o-jaan se usse
Wo jaan kar bhee ban gaye anjaan kyaa karein
Hai bezubaan dil ye kahein kaise apni baat
Hum bhi na keh sake ye haal-e-dil to kyaa karein
Guzre hain unkee yaad mein hee din ke pal sabhi
Raaton ko bhi Wo khwaab mein aayen to kyaa karein
Milte hain dard-o-gham hee toh iss pyaar mein yahaan
Hadd se hi guzar jaaye jo ye ghum bhi toh kyaa karein
Tags: Samaa