Apne Aaqa ke sanah-e- khawano mein paya jaoo
Aarzo yeh hai madiney mein bulaya jaoo
Kash mujh ko dur-e-ikhdas ki huzuri mil jaye
Aur sarkar ke kadmo mein bitaya jaoo
Un ki rehmat hai wasi itni ajab kya hai agar
Mein bhi agar sarkar ke kamli mein chupaya jaoo
Itba mein tere mehboob ki kamil hokar
Ser Mehshar mein tere samne laya jaoo
Zindagi saari basar ho toh usi shehar mein aur
Mar bhi jaoo to madinah se na laya jaoo
Jis ne chume hai qadam rehmat-e-alim ke kamal
Roz mehshar usi mitti se uthaya jaoo