Dosti kay rishton ki perwarish zarori hay
Silsalay ta’aluq kay, khud say ban tou jatay hain
Lakin in shagoofon ko tootnay bikharnay say
Rokna bhi perta hay
Chahaton ki matti say, arzu kay poday ko
Senchna bhi perta hay
Ranjishon ki baton ko bhoolna bhi perta hay!!
Tags: Poetry