zakhmey dil hum to siya kartey hain
Yaad aati hai jab bhi teri ye zakhm aur risaa kartey hain
Ek hi naav mein hum to safar kartey thhey
Aaya Toofan thha jab hum bichhudey thhey
doobey manjhdhaar mein hum aap safar kartey hain
Zakhmey dil hum to siya kartey hain
Aai jo yaad kal gar unki, Poochhunga yaad sey haalat unki
Kya wo bhi yun hi jalaa kartey hain
zakhmey dil hum to siya kartey hain