Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   


BLOGS   WRITE NEW BLOG   EDIT BLOGS  
 
RSS
kya hai ishq,
Posted On 21/11/2007 09:49:47 by aneela


Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.

Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq.

------------------------------------------------------


Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay,
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay !

Tum aankhon ki barsaat bachayay huey rakhna,
Kuch log abhi aag lagana nahin bhoolay !

Yeh baat alag haath kalam ho gayey apnay,
Hum aap ki tasveer banana nahin bhoolay !


Ik umar huee main to hansi bhool chuka hoon,
Tum ab bhi meray dil ko dukhana nahin bhoolay !

Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay,
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay

-----------------------------------------------------------------------

 


Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya !

Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat,
Do dilon kay darmiyan ik faasla rehnay diya !

Apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehnay diya !

Main samjhta tha khushi degi mujhay fareb,
Isliyey mainay gamon say raabta rehnay diya !

Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya !

-----------------------------------------------------------------------

MASOOM MOHABBAT KA BUS YE HI FASAANA HAI,
KAAGAZ KI HAVELI HAI,BAARISH KA ZAMANA HAI,

KYA SHART-E-MOHABBAT HAI,KYA SHARTE ZAMANA HAI,
AAWAAZ BHI ZAKHMI HAI,GEET BHI GAANA HAI,

USS PAAR UTARNE KI UMMEED BHUT KAM HAI,
KASHTI BHI PURAANI HAI,TUFAAN KO BHI AANA HAI,

WO SAMJHE YA NA SAMJHE ANDAAZ-E- MOHABBAT KO,
EK SHAKHS KO AANKHON SE EK SHEAR SUNAANA HAI,

BOLI SI ADA LIYE, PHIR KOI ISHQ KI ZID PE ARA HAI,
PHIR AAG KA DARIYA HAI,PHIR DOOB K JAANA HAI!

-------------------------------------------------------------------------

 

ASAR

asar usko zaraa nahiiN hotaa/ranj raahat-fazaa nahiiN hotaa
tum hamaare kisii taraH na hu’e/varnaa duniaa meN kyaa nahiiN hotaa
narsaa’ii se dam ruke to ruke/maiN kisii se Khafaa nahiiN hotaa
tum mere paas hote ho goyaa jab ko’ii doosraa nahiiN hotaa
haal-e-dil yaar ko likhuuN kyuuN kar/haath dil se judaa nahiiN hotaa
daaman uskaa jo hai daraaz to ho/dast-e-aashiq rasaa nahiiN hotaa
kisko hai zauq-e-talKh-kalaami laik/jang bin kuchh mazaa nahiiN hotaa
chaara-e-dil sivaa’e sabr nahiiN/so tumhaare sivaa nahiiN hotaa
kyuuN sune arz-e-muztar a’e-momin/sanam aaKhir Khudaa nahiiN hotaa
 
------------------------------------------------------------------------
 

kuch kahun..dil se..
usse kehna
koi aaj bhi tum bin
hijr ki, jhulasti dopehron main sulagta hai
habz zada raton main
palkon se sitarey ginta hai
sham kai udaas lamhon mai
dariya kinarey baith kar tumhe yaad karta hai
aksar darakhton par tumhara naam likhta
aur mitata rehta hai
hawaon se tumhari baat karta hai
tumhe laut aaney ko kehta hai
koi tumse bichad kar
bahaut udaas rehta hai
koi tumse bichad kar
bahaut udaas rehta hai!
*******************************************
 
 DUA MEIN UTHEY HATH
Ye to meri mohabton ka ijaaz hai

k mene hamesha tumhain

bulnadiyun pe dekhney ki

duaein ki hain.......

kabhy tum ne ye bhy socha hai.......

agar DUA mein uthey

In haathon ko

mene neechay kiya......

TO KAYA HOGA??????????
-------------------------------------------------------------------------
 
humain wo kuch yun bata ker chalaye hain
k khud ko wo hum se juda ker chalaye hain

humare siva jin ko takta na koi
wo hum se bhi chehra chupa ker chalaye hain

ghar ki mundairoon se a ker jo jhanka
wo khaima hi apna utha ker chalaye hain

palat ker humain yun nazar bhar ke daikha
k jaisay vo sub kuch jala ker chalaye hain

fahad khud bhi roya hai is gham pay mairay
wo nishtar hi aisa chubha ker chalaye hain
---------------------------------------------------------------
 
Toote Hue Khawabon Mein Haqiqat Dhundtha Hoon
Pathar Ke Dilon Mein Mohabbat Dhundtha Hoon

Naadan Hoon Mein Abb Tak Yeh Bhi Nahin Samjhe
Bejaan Buton Mein Ibaadat Dhundtha Hoon

Mere Jazbaaton Ki Keemat Yahan Kuch Bhi Nahin
Beimaani Ke Baazaron Mein Sharafat Dhundtha Hoon

Is Ajnabi Dunia Mein Koi Bhi Apna Nahin
Gairon Ki Aankhon Mein Apni Surat Dhundtha Hoon

Umeed Ki Thi Pyar Ki Bas Yehi Bhool Thi Meri
Girte Hue Ashkon Mein Apni Hasrat Dhundtha Hoon
---------------------------------------------------------------------
 

kisi ki yaad ka mousam

 


Koi mousam ho dil mein hay, tuhari yaad ka mousam
K badla hi nahin janaan, tumharay bad ka mousam

Nahin to aazma ker dekh lo kaisay badalta hay
Tumharay muskuranay say dil e nashad ka mousam

Sdda taishay say jo nikli dil e sheereen say utthi
Chammun khusro ka tha laikin raha ferhaad ka mousam

Parindoon ki zabaan badli, kaheen say dhoonday to kabhi
Nai terz e faghan ay dil k hay ejaad ka mousam

Ruttoon ka qaida hay waqat per aati jati hein
Humaray sheher mein kiun ruk gia feryaad ka mousam

Kaheen say us haseen awaz ki khushbu pukaray gi
To is k saath badlay ka dil e berbaad ka mousam

Qaffas k baam o der mein roshni say aai jati hay
Chammun mein aa gia shayed lab e azad ka mousam

Na koi gham hay khizaan ka, na khuahish hay baharoon ki
Humaray saath hay Amjad kisi ki yaad ka mousam

------------------------------------------------------------------------

Har Koi Dil Ki Hatheli Pay hai Sehra Rakhe
Har Koi Dil Ki Hatheli Pay hai Sehra Rakhe
Kis Ko Serab Kare Wo Kise Piyasa Rakhe

Umer Bhar Kon Nibhata Hai Taluq Itna
Ay Meri Jan Ke Dushman Tujhe Allah Rakhe

Hum Ko Acha Nahin lagta Koi Hum Nam Tera
Koi Tujh Sa Ho Tu Phir Nam Bhi Tera Rukhe

Dil Bhi Pagal Hai Ke Us Shaks Se Wabsta Hai
Jo Kisi Aour Ka Na Hone De Na Apna Rakhe

Kam Nahin Tuma Ebadat Bi To Hars-e- Zar Se
Fuqar Tu Wo Hai Ke Jo Deen Na Duniya Rakhe

Huns Na Itna Bhi Faqeeroon Ke Akeley Pun Par
Ja Khuda Meri Tarah Tujh Ko Bhi Tanha Rakhe

Ye Qinna'at Hai, Ata'at hai Ke Chahat Hai Faraz
Hum Tu Razi Hain Wo Jis Haal Main Jaisa Rakhe
=========================================

 

 
 



Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq.

Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq.

Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq.

Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq.

Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq?

 



Bookmark:





*** NkuT.Com ***