Kiya hai pyar jisay hum nay zindagi ki tarha,
Woh ashna bhi mila hai ajnabi ki tarha,
Sitam tu yeh hai kay who bhi na ban saka apna,
Qabool hum nay kiye jis kay gham khushi ki tarha,
Barha kay pyas meri us nay haat chor diya,
Woh kar raha tha murawat bhi dil lagi ki tarha,
Kabhi na socha tha hum nay qateel us kay liye,
Karay ga hum pay sitan who bhi har kisi ki tarha!