Lamha
lamha kise yaad karta hai dil
akele mein bhi kis se baat karta hai dil
Yeh pattharon ka shahar hai musafir
kyun ahal-e-ishq talaash karta hai dil
Sooni sooni si ye bheed bhari galiyaan
ek zindagi yahan daryaaft karta hai dil
Roshnaayi ban jaati hain lahoo ki boonden
kabhi kabhi aise bhi haalaat karta hai dil
Utne hi yaad aate ho jitna bhulata
phir ashqon ki ek barsaat karta hai dil.