|
apne hoontoon pe
Posted On: 26/01/2008 15:44:38
|
apne hoontoon pe sajaana chaahta hoon aa tujhe main gungunaana chaahta hoon
koi aansoo tere daman par gira kar boond ko mooti banaaana chaahta hoon
thak gaya main karte karte yaad tujh ko ab tujhe main yaad aana chaahta hoon
chaa raha hai saari basti main andhera roshni ko ghar jalaana chaahta hoon
|