|
|
Kachi Deewar Hoon
Posted On: 23/01/2008 15:06:58
|
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko, Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko!
Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhti Hoon, Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujko !
Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein, Main Samajh Jaaongi Nazron Say Bataana Mujko !
Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho, Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujko!
Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Baram Rakh Lena, Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujko !
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko, Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko!
|