Welcome Guest Login or Signup

loveismylife
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


RSS
jaane kaha
Posted On: 22/01/2008 14:27:47
jaane kaha khudko kho chuke hain hum,
is jhil-milati roshni main shayad so gaye hai hum.

socha chalo zara apni yadon ko dhundlu.
magar kya dhundu use jiske saath hum har pal chal rahe the.
nakaam hue kyunki hum nikle the dhundne woh cheez joh hamare rooh main basi thi...
haan ab hume lagta hai ki shayad apni nazron ko kumzor kar chuke hai hum.

zindagi ko insaan apne nazariye se jeeta hai,
shayad isiliye woh kabhi-kabhi khudgarz bhi ban jaata hai.

aata hai jab waqt toh peeche mur kar woh bas apni khusiyaa aur apne gum dekh paata hain,
magar dusro ke gumo ko... aansuo ki bundo ko woh bhul jaata hai,
gairat uski naajaane kab ki bik-chuki hai,
phirbhi woh has kar khud ko " insaan " batlaata hain.


haan aaj sharm se mera sir jhukta hai..is baat ko soch kar,
ki main bhi khud ko insaan kehta hoon aur shayad dusro ko peeche chor kar khud ko aage le jaata hoon.

magar ..ab nahi hai mujhe is raah par chalna,
apni insaniyat ko khudgarzi ke liye bechna.
khud ko kho kar nahi hain mujhe jeena,

ek kosish zaroor karunga,
zindagi ko jeene ke aihmiyat dekar jeeyunga.


Bookmark: