|
|
Ye baat
Posted On: 20/01/2008 13:25:37
|
Ye baat aur hai ki teri meri banti nahi Par hum dono ke bina mahfil jamti nahi
Din to guzar lete hain youn hi yaadon ke sahare Par tumse ladaii kiye bina raat katti nahi
Kosish to karta hun auro ko bhi dekhne ki Par kya karun aankhon main tere siwa koi surat basti nahi
Ek sakhsh is safar mein aisa hume mila tha, Sunta tha dhadkano se aankho se bolta tha, Kya-kya haseen yaadein peechhe lagi thi usake, Wo ja raha tha lekin mud mud ke dekhata tha Saanso ki daaliyon pe ek naam phool jaisa, Patjhad ki dhoop main bhi kis shaan se khila tha,
Patthar tha magar barf ke gaalon ki tarah tha Ek shakhs andheron mein ujaalon ki tarah tha
Khwaabon ki tarah tha na khyaalon ki tarah tha Woh Mushkil bhare sawaalon ki tarah tha
|