Welcome Guest Login or Signup

loveismylife
PROFILE   GALLERY   BLOGS   SCRAPBOOK   FRIENDS   FAVORITES   LYRICS   SMS   QUOTES   JOKES   POLLS   VIDEOS  
 


RSS
Apni hi rooh ki talash mein
Posted On: 18/01/2008 15:29:22
Apni hi rooh ki talash mein jalajaa raha hun,
Badalte mausam mein khud ko kose jaa raha hun,
Yahi dhoop yahi chav kal bhi aya karti thi,
Phir chav chod maine dhoop mein kyun jaya karta tha.

Aaj phir din nikla phir raat ayi,
Kabhi khulla aasman to kabhi badlon ki ghata chayi,
Aaj fir chand aya hai falak pe,
Shayad isiliye sitaron ne apni doli hai sajayi.

Khamosh patto ki ye sarsrahat,
Kuch yaad dilaya karti hai,
Hanskar humein humari hi kahani sunakar,
Chali jaya karti hai.

Aisa lagta hai vo hans rahe hain hum par,
Par khush hun ki unki khushiyon ka ehsaan to hai hum par,
Lena-dena mol-bhav to chalta rahega,
Par khushi ka ye manzar yahin nahi thamega.

Beete kal ko peeche chhod aye hain hum,
Vaha ki khushiyon ko bhi sath le aye hain hum,
Kal kya hua , kal kya hoga,
Mujhe nahi nahi pata,
Aaj main jeena chahta hun, aaj main ji kar rahunga,
Bas yahi FAISLA kar chuke hai hum.


Bookmark: