|
mere marne seh pehle agar jawaab mil
Posted On: 29/07/2007 12:24:55
|
mere marne seh pehle agar jawaab mil jaata isiyaan bhari zindagi mein sawaab mil jaata
isiyaan=sins
sharaab toh pee nahi magar asar jaanna hain pooch leta main agar ahl-e-sharaab mil jaata
ahl-e-sharaab=sharaabi
duniya ki nazar nahi padey meri aankhon par gham chupaa letaa gar aisa naqaab mil jaata
zindagi ki raat mein woh humsafar kho gaya usey dhoond leta main agar aaftaab mil jaata
aur jeene ke liye zaroorat hain khwaahisho ki main bhi jee he leta agar koi khvaab mil jaata
Mein un sey keh rahaa hoon mujhe yaad kijiye humey bhi jeene ka bahaana naayaab mil jaata
mere marne seh pehle agar jawaab mil jaata kaayaan bhari zindagi mein sawaab mil jaata
|