kab tak raho gay aakhir yun door door ham say
milna paray ga aakhir ik din zaroor ham say
daaman bachanay walay yeh berukhi hai kesi
keh do agar hua hai koi kusoor ham say
hum chheen lain gay tum se yeh shaan-e-be niyaazi
tum maangtay phiro gay apna ghuroor ham say