Meri Raatein. Teri Yaadon se saji rehti hain Meri Saansein Teri Khushbo mai basi rehti hain Meri Aankhon mai Tera Sapna saja rehta hai Haan Mere Dil mi Tera hi Aks basa rehta hai
Is tarah Mere Dil ke boht Paas ho Tum Jis tarah paas hi Sheh-e-Rag ke Khuda rehta hai Tum ko Maloom bhi shayad ye kabhi ho ki na ho..!!
Mere Aangan mai lage phool gawahi deinge Mai ne Arsey se kisi Phool ko dekha bhi nahi Tujh ko socha hai to phir Tujh ko hi socha hai faqat Tere siwa.. kisi aur ko socha bhi nahi