Abhi shaadi ka pehla hi saal tha,
Khushi ke maare mera bura haal tha,
Khushiyaan kuchh yun umad rahin thi,
Ki sambhale nahi sambhal rahi thi..
Subah madam ka chai le kar aana
Sharmate huye humein neend se jagana,
Wo pyaar bhara hath hamare baalon mein phirana,
Muskurate huye kehna ki.. Darling chai to pi lo,
Jaldi se ready ho jao, Aap ko office bhi hai jaana
Gharwali meherban ka roop le kar aayee thi,
Dil aur dimag par poori tarah chhayee thi,
Saans bhi lete they to naam usee ka hota tha,
Ik pal bhi door jeena dushwar hota tha..
5 SAAL BAAD... Subah madam ka chai le kar aana,
Table par rakh kar jor se chillana,
Office jao to munna ko School lete jana...
Ek baar phir awaaj aayi, abhi tak chhodi nahi charpayee?
Munna late ho gaya to dekh lena,
Munna ki teachers ko khud hi jawaab dena..
Na jane gharwali kaisa roop le kar aayi thi,
Dil aur dimaag par kaali ghata chhayee thi,
Ab har samay ek hi sawal hota hai..
Kabhi woh din laut ke aayenge,
Kya