|
Viewing 1 - 1 out of 1 posts
|

|
|
POSTED BY: Kshitiz on Nov 28, 2007
|
|
qasoor tera nahin mera tha
Qasoor tera nahin mera tha
mein hee tujh ko apna samjha tha...
dekh ke tere badle tewar
mein to usi din ro betha tha...
ab mein samjha ab yaad aaya
tu us din kion chup chaap sa tha...
tujh ko jana hi tha lekin
mile bagair hi kiya jaana tha...
ab tujhe kia kia yaad dilaoon
ab to woh sub kuchh hi dhoka tha...
wohi huii hai jo honi thi
wohi mila hai jo likha tha...
dil ko yun hi sa ranj hai warna
tera mera saath hi kiya tha...
kis kis baat ko raoon ""
apna kehna hi itna tha
-------------------------------------------------------------- it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|
|
Back To Top
|
|
|
|