raah chalte gair ko apna banaye kis tarah,
haath unse dosti ka hum milaye kis tarah,
jisne samjha hi nahi pyaar ka matlab kabhi,
ulfatein unse nibhayein toh nibhayein kis tarah,
zindagi mein saath koi do kadam chalta nahi,
saathi phir umra bhar ka hum banaye kis tarah,
beasar hi reh gayi maangi jab koi dua aise mein,
tum hi kaho hum maange duaae kis tarah,
na jaane zindagi ke kis mod pe ho jaaye koi haadsa,
aas haathon ki lakiron par lagaye kis tarah.....
aas haathon ki lakiron par lagaye kis tarah.....