main ne haq-e-mohabbat ada kya
na kabhi kisi se gila kya
mujhe ajab is ka sila mila
mujhe dil se os ne bhula diya
mohabbaton ki kitab ka har ik varq jala diya
vo jo aarzoo ka charag tha
usay nafratoon ne bujha diya
mujhe zakham phir ek naya diya
mujhe is mohabbat ne kya diya
wo jo kehte thay khush raho
wo jo kehte thay meri jan ho tum
har lamha hansa karo
mujhe aj unhoon ne rula diya
mera nishan tak mita diya
mujhe is mohabbat ne kya diya
mera nishan tak mita diya