Dil Ko Kuredkar Ek Rasta Dekha Raste Par Chalkar Ek Manzar Dekha Toote Huwe Dil Ke Kuch Tukde Parey Thae Tukdon Ko Sameta Toh Tumko Dekha
Jodna Chaaha Toh Rab Ko Dekha Rab Ne Kaha: “Deewane Ho Kya? Itna Bhi Naadan Na Bano… Toota Huwa Dil Bhi Judta Hai Kya?â€
Main Rab Ko Dekhkar Hairaan Tha… Aaj Aaye Ho Darshan Dene Jab Yeh Dil Toot Raha Tha Mera Tab Mujh Par Reham Kar Dete Thoda
Jodne Ki Zaroorat Kya Parti Gar Yeh Dil Aabaad Rehta Mera… Na Toot-ta Kaanch Ke Tukdon Jaisa Na Bikharta Patjhar Ke Patton Jaisa…
Rab Ne Kaha: “Yehi Toh Mohabbat Hai Pyar Ki Tapish Mein Jal Kar Dekh Isi Agn Mein Jannat Haiâ€
Main Aur Chup Reh Na Saka, Rab Se Jhooth Keh Na Saka:
Mujhe Jannat Ki Kya Zaroorat Mujhe Sirf Apni Mehbooba Dilaa De…
Hazaar Palon Mein Ek Baar Jeeta Hoon Main Aur Hazaar Pal Yun Hee Marta Hoon Main… Us Ek Pal Ko Zindagi Banaa De Mere Mehboob Ke Khwaab Ko Haqeeqat Banaa De
Phir Maut Se Kya Gila Aur Jehannum Ka Kya Khauf Ek Baar Jee-Bhar Ke Jee Toh Loon Phir Sukoon-e-Maut Bhi Mar Sakun…
--------------------------------------------------------------
Always as i am
|