Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 1339 - Total Replies: 1

POSTED BY: kashish on 21/11/2009 11:39:07


Baat niklegi to phir duur talak jaayegii

log bevajah udaasii kaa sabab poochen ge
ye bhii poochen ge k tum itni pareshan kyoon ho
Ungliyaan uthen gi sukhe hue baalon kii taraf
ik nazar dekhen ge guzare hue saalon kii taraf
chudiyon par bhii ka_ii tanz kiye jaayenge
kaanpate haathon pe bhii fikre kase jaayenge

log zaalim hain har ik baat kaa taanaa dein ge
baaton baaton mein meraa zikr bhii le aayen ge
un kii baaton kaa zaraa saa bhii asar mat lenaa
varnaa chehare ke taasur se samajh jaayen ge
chaahe kuchh bhii ho savaalaat na karanaa unse
mere baare mein koi baat na karanaa unse

Baat nikalegii to phir duur talak jaayegii





--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~




POSTED BY: Nanu_Ninu on 25/11/2009 18:39:53






--------------------------------------------------------------
Sab ki AAN sab ki SHAAN sab ka ek BHAIJAAN-Salman khan
Back To Top
18/11/2026



*** NkuT.Com ***